Posts

Umar Tamam Katgayi

Bachpan se jawani, aur jawani se adh-umar, Ek silsile mein behti rahi apni ye guzar. Padhe, naukri ki, nikah kiya, bache bhi huve, Pauni nikal gayi zindagi, par hum rahe bekhabar. Din raat isi kashmakash mein poore saal dhal gaye, Safar khatm hone ko hai, par samajh na aayi zindagi

Jahan Se Jannat

 Hoor Ya Noor ---------------------- Tasveer dekh kar aapki, qayamat dhaa gayi, Yeh aankhen SubhanAllah, bina kahe jaan le gayi. In aankhon mein sadiyon ke raaz poshida hain, Kahin shararat, kahin mohabbat, kahin sukoon javedaan hai. Parda-nasheen ho ya libaas-e-jadeed, Husn toh aapki chashm-e-numayan mein labraiz hai. Aisi mast ada aur aisi gehri nigaahein, Dil ko seedha Is jahan se Jannat tak le jaayein.

Gaza - Bezuban Bayan

  Zulm Gaza-e-zulm ki haqeeqat par alfaaz bhi kam pad jaate hain, Insaan ke chehre mein yeh log darinde nazar aate hain. Lanat hai aise rahnuma par, Lanat hai aisi siyasat par. Jo daulat aur taqat ko sab kuch samajh baithe, Lanat hai aisi hukoomat par. Reham, sharam, insaaniyat sab yeh bech kha jaate hain, Woh naam ke insaan hain, dil se kabhi na kehlaate hain.

Zehnaseeb

Yakeen Hai Saath hoker bhi, na aitbaar na sukoon de sake Din-Raat dooriyan badhe aur faasle bante gaye Judai mein hua ehsaas, hum kitne khataye kar gaye Jaan toh hai aap meri, ab rooh ban gaye   Aapki kami har lamha har raate lambi kar jaati hai Dooriyan shayad kuch aur waqt ki maang rakh jaati hai Faasle rehkar bhi ek qurbat si mehsoos ho jaati hai Dua hai hum jald saath ho, hamari mohabbat yaqeen se yeh keha jaati hai

Raat hai toh sehar bhi hai

Sehar Honi Hai ============= Zulm ki raat lambi sahi, magar sehar hone tak, Sehar ka aana toh tay hai, bas intezar hone tak.

Yaadein

Kiya Karein Mirza kahein, Ae dost! kabhi yeh gustakhiyan bhi kiya karein, Ghaflat mei hi sahi, par humen yaad bhi kiya karein, Daur-e-nau mein paigham na sahi, kabhi phone toh kiya karein.

Shaadi Mubarak

Aapse Hum, Humse Aap Kisi ko zamane ki khushiyan mile, Kisi ko jahan ki hukumat mile, Hum kyun na karein shukr-e-khuda, hamein toh woh muqaddar mile... Is faani duniya mein jannat ke nazaare dekhe, Aapko hamein aur hamein aap jo mile