Jahan Se Jannat

 Hoor Ya Noor

----------------------

Tasveer dekh kar aapki, qayamat dhaa gayi,

Yeh aankhen SubhanAllah, bina kahe jaan le gayi.


In aankhon mein sadiyon ke raaz poshida hain,

Kahin shararat, kahin mohabbat, kahin sukoon javedaan hai.


Parda-nasheen ho ya libaas-e-jadeed,

Husn toh aapki chashm-e-numayan mein labraiz hai.


Aisi mast ada aur aisi gehri nigaahein,

Dil ko seedha Is jahan se Jannat tak le jaayein.

Comments

Popular posts from this blog

Betiyaan

Dost Har Mausam